wahi hai nafs-e-mazmun sirf tadbiren badalti hain huzur-e-dost kya kya apni taqriren badalti hain ye nagri husn walon ki ajab nagri hai ai hamdam ki is nagri mein aahon ki bhi tasiren badalti hain na itra ai dil-e-nadan kisi ke ahd-o-paiman par ki qaul o fel kya logon ki tahriren badalti hain khudai ka agar karte hain dawa but nahin beja nigah-e-lutf se dekhen to taqdiren badalti hain koi saffak jab didon mein dide dal deta hai to dil se dil nahin ulfat ki jagiren badalti hain kisi kafir ke yaad aate hain andaz-o-ada jis dam nazar ke samne kitni hi taswiren badalti hain kisi par barq girti hai koi chadhta hai suli par ba-qadar-e-zauq-e-mujrim 'khar' taziren badalti hain