wo jo din hijr-e-yar mein guzre kuchh tadap kuchh qarar mein guzre wahi hasil the zindagani ke chaar din jo bahaar mein guzre kya kiya tum se kaise kaise wahm dil-e-be-e'tibar mein guzre kitni kaliyon ke kitne phulon ke qafile nau-bahaar mein guzre zindagi ke liye mile the jo din maut ke intizar mein guzre hasraton ke hujum mein teri yaad jaise mahmil ghubar mein guzre hum chaman mein rahe to aise rahe jaise din kharzar mein guzre gham-e-jaanan se bach rahe the jo din wo gham-e-rozgar mein guzre zindagi ki yahi tamanna thi aap ki rahguzar mein guzre jaan-nisaron ka jaeza tha wahan hum bhi pichhli qatar mein guzre kate katta nahin wo waqt 'raza' jo kisi intizar mein guzre