wahi hai rang-e-tabiat wahi KHisal mere

wahi hai rang-e-tabiat wahi khisal mere
taghayyuron ke nishan hain safed baal mere

qadam qadam pe lutai hai kaenat-e-hayat
dayar-o-dasht mein bikhre hain mah-o-sal mere

milun na main to mera gulshan-e-nasab dekhen
meri shabih ka partaw hain naunihaal mere

nai faza ka taqaza ki main panap na sakun
akas bel se rut ne bune hain jal mere

inhin ke nam se pahchan hai mere fan ki
mera waqar hain yaran-e-ba-kamal mere

mila bhi izn-e-takallum to kuchh kaha na gaya
sukut-e-lab mein muqaffal rahe sawal mere

main ek musafir-e-mauj-e-sarab hun 'rasikh'
kiye hain maskh bagulon ne khadd-o-khal mere


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close