in qurbaton ke zaKHm se Dar jaana chahiye

in qurbaton ke zakhm se dar jaana chahiye
is raste se hum ko mukar jaana chahiye

bharte hain raat-din kisi zakhmi badan ka pet
logon mein jo khala hai wo bhar jaana chahiye

jitne sipurd-e-shauq hain aawaz de unhen
ma'lum kar ki hum ko kidhar jaana chahiye

pochhenge aur kitna pasina jabin se hum
itni shadid dhup hai mar jaana chahiye

kab tak karenge tere jahan ka 'ilaj hum
ab tujh ko aasman se utar jaana chahiye

ai aasman main chand sitaron ka kya karun
mere nasib se ye sifar jaana chahiye

is zindagi ke khwab ko ab alwidaa' karen
muddat se ye khayal tha mar jaana chahiye

hum se koi kahe ki jahan ke zuruf ko
bhar jaana chahiye ki bikhar jaana chahiye

aasaishon ki god mein khilte nahin kanwal
jis rah par ho khar udhar jaana chahiye

gham dil ke dasht ke liye pani se kam nahin
chehre ko gham se aur nikhar jaana chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close