wahi hain qatl-o-ghaarat aur wahi kohram hai saqi tamaddun aur mazhab ki ye khuni sham hai saqi kalam-e-fan mera ab tak nihan hai aise duniya se ki jyun abdulhai mein ek alif gumnam hai saqi meri gang-o-jaman tahzib ki dukhtar hai ye urdu ise muslim banane ki ye sazish aam hai saqi karenge amn ki baaten dilon mein bughz rakkhenge yahi rasm-e-jahan aur fitrat-e-aqwam hai saqi qad-a-shair ke badle dekhiye meayar sheron ka faqat itna meri ghazlon ka ye paigham hai saqi aruz-o-ilm ki talim mujh ko kab rahi hasil mera ustad to bas ye gham-e-ayyam hai saqi wahi ghaalib hai ab to jo kharide shohraten apni rubai bechne wala umar-'khayyam' hai saqi ye ghazlen ghaib se nazil nahin ashkon ka hasil hain mera ye dard hi sab se bada ilham hai saqi