milti hai nazar un se to kho jate hain hum aur manzil ke qarib aa ke bahakte hain qadam aur mare hue hain kashmakash-e-wahm-o-yaqin ke tute hue har but se tarashe hain sanam aur ye baat samajhte hi nahin hazrat-e-naseh silta hai agar chaak to khulta hai bharam aur tadbir ka har naqsh dil-awez hai lekin hai katib-e-taqdir ka andaz-e-raqam aur jazbaat pe mohren na lagi hain na lagengi hoti hai zaban band to chalta hai qalam aur shayad ye sila tark-e-talab ka hai 'faridi' badhti hi gai wusat-e-daman-karam aur