wahi jo haya thi nigar aate aate bata tu hi ab hai wo pyar aate aate na maqtal mein chal sakti thi tegh-e-qatil bhare itne ummid-war aate aate ghati meri roz aane jaane se izzat yahan aap khoya wiqar aate aate jagah do to main is mein turbat bana lun bhara hai jo dil mein ghubar aate aate abhi ho ye fitna to kya kuchh na hoge jawani ke lail-o-nahaar aate aate ghadi hijr ki kash ya rab na aati qayamat ke lail-o-nahaar aate aate khabar deti hai yaad karta hai koi jo bandha hai hichki ne tar aate aate phir aae jo tum mehrban jate jate phiri gardish-e-rozgar aate aate azal se abad ko to jaana tha 'afsar' chale aae hum us dayar aate aate