shadab-o-shagufta koi gulshan na milega dil khushk raha to kahin sawan na milega tum pyar ki saughat liye ghar se to niklo raste mein tumhein koi bhi dushman na milega ab guzri hui umr ko aawaz na dena ab dhul mein lipta hua bachpan na milega sote hain bahut chain se wo jin ke gharon mein mitti ke alawa koi bartan na milega ab nam nahin kaam ka qael hai zamana ab nam kisi shakhs ka rawan na milega chaho to meri aankhon ko aaina bana lo dekho tumhein aisa koi darpan na milega