wahi jo rishta hai kashti ka sath-e-ab ke sath

wahi jo rishta hai kashti ka sath-e-ab ke sath
wahi hai mera talluq bhi apne khwab ke sath

yahin kahin to chamakti thi ek tilismi jhil
yahin kahin to main duba tha apne khwab ke sath

chhalak rahi thi kisi intizar ki chhagal
bhatak rahi thi kahin pyas iztirab ke sath

ulajh rahi thi musalsal sawal ki luknat
mukalima na koi ho saka jawab ke sath

har ek harf sitara har ek lafz charagh
main nur nur hua raat ki kitab ke sath

ye kis ke lams ki barish mein rang rang hun main
ye kaun mujh se guzarta hai aab-o-tab ke sath

sanbhal ke chalna ye tabir ki sadak hai miyan
bandhi hui kai aankhen hain ek khwab ke sath

main ret hone hi wala tha jab ‘aziz-nabil'
umid-e-ab dhadakne lagi sarab ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close