waqt ke be-Dhab raston par aur ulTi sidhi chaal mein KHush

waqt ke be-dhab raston par aur ulti sidhi chaal mein khush
dekho kaise rahte hain hum duniya ke janjal mein khush

jaane wala sal to phir bhi jaise-taise bit gaya
is duniya ko rakhna maula aane wale sal mein khush

ek manzar ki shadabi ne yun hum ko khush-rang kiya
mausam mausam phirte hain aur rahte hain har haal mein khush

marg-e-mohabbat aur is ke asbab pe aakhir roe kaun
wo bhi khud mein mast magan hai main bhi apne haal mein khush

tum mange ka resham pahno aish karo han lekin hum
khud-dari ki phati-purani ek akeli shaal mein khush

ek bachche ki aankh mein jaise raushan ho masum khushi
bilkul aise hote hain hum aap ke istiqbaal mein khush


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close