wahi junun ki sokhta-jaani wahi fusun afsanon ka uda uda sa bujha bujha sa rang wahi diwanon ka dariya to manus hai ashk-lahu ki khud-sar maujon se dasht tujhe malum hai sara qissa in hairanon ka chahat-bhar ummid rakhi hai aur raston-bhar pa-mardi durweshon ke chaal-chalan mein rang hai sab sultanon ka abhi nahin to aainda hum khak udane aaenge kaun sa kaam ruka jata hai faqiron be-samanon ka tu jo is duniya ki khatir apna-ap ganwata hai ai dil-e-man ai mere musafir kaam hai ye na-danon ka