aise maqam tak bhi tere na-rasa gae tare falak ke tut ke qadmon mein aa gae ummid-e-wasl-e-yar liye kitne kam nasib apni dukan tere jahan se badha gae dekha jinhon ne aankh ganwa kar safar kiya be-laus jo chale the wahi tujh ko pa gae mujh se kisi ke samne roya nahin gaya kitne hi gham the jo mujhe andar se kha gae ek un ke dar pe jaane kyun dastak na di kabhi haalanki un ke kuche mein hum bar-ha gae