wahi karwan wahi qafila tumhein yaad ho ki na yaad ho wahi manzil aur wahi marhala tumhein yaad ho ki na yaad ho mutafailun mutafailun mutafailun mutafailun ise wazn kahte hain sher ka tumhein yaad ho ki na yaad ho wahi shukr hai jo sipas hai wo malul hai jo udas hai jise shikwa kahte ho hai gila tumhein yaad ho ki na yaad ho wahi naqs hai wahi khot hai wahi zarb hai wahi chot hai wahi sud hai wahi faeda tumhein yaad ho ki na yaad ho wahi hai nadi wahi nahr hai wahi mauj hai wahi lahr hai ye habab hai wahi bulbula tumhein yaad ho ki na yaad ho wahi kizb hai wahi jhut hai wahi jura hai wahi ghunt hai wahi josh hai wahi walwala tumhein yaad ho ki na yaad ho wahi sathi hai jo rafiq hai wahi yar hai jo sadiq hai wahi mehr hai wahi mamta tumhein yaad ho ki na yaad ho jise bhed kahte ho raaz hai jise baja kahte ho saz hai jise tan kahte ho hai nawa tumhein yaad ho ki na yaad ho jo murad hai wahi muddaa wahi muttaqi wahi parsa jo phanse bala mein wo mubtala tumhein yaad ho ki na yaad ho jo kaha hai main ne maqal hai jo namuna hai so misal hai meri sarguzisht hai majra tumhein yaad ho ki na yaad ho jo chunanche hai wahi jaisa hai jo che-gona hai wahi kaisa hai jo chunan-chunin hai so ha-kaza tumhein yaad ho ki na yaad ho wahi khwar hai jo zalil hai wahi dost hai jo khalil hai bad-o-nek kya hai bura bhala tumhein yaad ho ki na yaad ho