wahi KHaraba-e-imkan wahi sifal-e-qadim

wahi kharaba-e-imkan wahi sifal-e-qadim
humak raha hai kahin dil mein ek khayal-e-qadim

khada hun jaise abhi tak azal ke zine par
nazar mein hai wahi nazzara-e-jamal-e-qadim

firaq-raat mein zinda rahe ki zinda thi
hamari ruh mein sarshaari-e-visal-e-qadim

mera wajud hawala tera hua aakhir
to kha gaya na mujhe tu mere sawal-e-qadim

ye habs-e-waqt ye la-intiha ghutan ki ruten
baras ke khul bhi kabhi abr-e-ehtimal-e-qadim

'said' kahne ko kya kuchh badal gaya lekin
wahi hai tu wahi zindan-e-mah-o-sal-e-qadim


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close