zikr mera hai aasman mein kya aa gaya hun main us ke dhyan mein kya sab karishme talluqat ke hain khak udti hai khak-dan mein kya chand tare utar nahin sakte raat ki raat is makan mein kya phir chali baad-e-sazgar magar kuchh raha bhi hai baadban mein kya zinda hai ek qabila-e-qabil main rahun aise khandan mein kya