wahi kuchh zindagi mein zindagi ka bhed pate hain jo paiham justuju karte hain barson gham uthate hain jo sach puchho to khud jite hain aur jina sikhate hain wo diwane jo har tufan-e-gham mein muskuraate hain kuchh is andaz se wo apni mahfil mein bulate hain ki insan ke qadam uthne se pahle kanp jate hain wo pichhli shab ko apne rukh se jab parda uthate hain mera ehsas shahid hai do-alam jhum jate hain tajjub kyon hai meri be-khudi par ahl-e-mahshar ko wo jis ko bhi pilate hain kuchh aisi hi pilate hain nahin kuchh khak-e-dil lekin pahunch kar un ke daman tak yahi zarre mah-o-khurshid ban kar jagmagate hain mohabbat ibtida ta-intiha irfan-e-kaamil hai magar hum to unhen pane se pahle khoe jate hain tera kucha hi kyon rah rah ke paiham yaad aata hai isi aalam mein aalam aur bhi to pae jate hain shikayat kar rahe ho 'kaif' tum ko shukr lazim hai wo mushkil se kisi ko apna diwana banate hain