na khwahish hai gadai ki na hai arman shahi ka ilahi ishq de bande ko mahbub-e-ilahi ka agar rakkhe tere kuche ki sarhad se qadam bahar guman phir khizr par le jaen hum gum-karda rahi ka yahan to dagh-e-khun daman se dhoya tu ne ai hamil wahan ek din khilega gul hamari be-gunahi ka bahut aashiq to maqtul-e-nigah-o-ghamza hain lekin ye tera nim-jaan bismil hai teri kam-nigahi ka ghulami 'khusraw'-e-dehli ki hai 'maruf' fakhr apna ki hum aashiq hai hum mashuq mahbub-e-ilahi ka