wahi maqam jahan gum hui thi zat meri

wahi maqam jahan gum hui thi zat meri
usi maqam se ubhregi kaenat meri

kisi ke shauq-e-safar ne mujhe muqim kiya
thahar thahar ke guzarne lagi hai raat meri

urus-e-fikr ki doshizgi salamat hai
hazar bar suhagan hui hayat meri

zamana zist ke unwan badal chuka lekin
har ek baat se nikli wahan bhi baat meri

falak se tut ke jab bhi zamin pe aae hain
raqam kiya hai sitaron ne wardat meri

tumhaare nam se sar pe saja liya jis ko
simat gai usi aanchal mein kaenat meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close