zindagi ruthi to phir hum se manai na gai jab andhera hua ek shama jalai na gai jaise thahre hue pani pe makan ho apna yaad-e-rafta hai ajab aai to aai na gai main falak chhu lun to qadmon se zamin jati hai ek nai duniya khalaon mein basai na gai jaane kaisa hai mere dast-e-hunar par ye azab rang yun bikhre ki taswir banai na gai ek thokar se qaba gul ki bikheregi hawa un ki khushbu bhi saliqe se churai na gai be-asar aaj bhi hai zulf-e-pareshan ka fusun yunhi bikhri rahi zanjir banai na gai baat ban jati meri ek hi pal mein 'salma' kya karen baat magar hum se banai na gai