wahi meri na-muradi wahi gardish-e-zamana meri zindagi tasawwur meri ishraten fasana na huzuriyon ki khwahish na visal ki tamanna mujhe ab bhi hai taaruf wahi un se ghaebana jo tujhe khayal hota ye mera na haal hota na teri nigah badli na badal saka zamana ye jahan ki ek karwat ye khizan ka ek dhoka ye hawaen bhigi bhigi ye bahaar ka tarana koi khwab tha ye shayad jo nazar mein phir raha hai wo meri niyaz-mandi wo kisi ka aastana na tera suragh paya na sukun ka raaz paya meri zindagi thi goya gham-e-dil ka ek bahana meri aarzu-e-ruswa na chhupegi 'hosh' mujh se ki meri nigah mein hai mere dard ka fasana