na kaam fikr se nikla na chal saki tadbir

na kaam fikr se nikla na chal saki tadbir
kisi tarah se na badli phiri hui taqdir

zamir-e-dahr se andesha-e-khizan na gaya
bahaar mein bhi zamana hai dard ki taswir

tayyunat mein uljhi hui hai fikr-e-hayat
mere zawal ki tamhid hai meri tamir

ab e'tiraf-e-khata par na is nigah se dekh
ki ho na jae kahin mujh se phir koi taqsir

zaban-e-am mein kahte hain kaenat jise
haqiqat-e-gham-e-dil ki hai mukhtasar tafsir

nahin khuda ki zamin tang ai chaman walo
karenge aur kahin hum ab aashiyan tamir

zamana 'hosh' badalne ko hai nai karwat
bujhe pade hain bahut din se qalb-o-ruh-o-zamir


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close