wahi na-saburi-e-arzu wahi naqsh-e-pa wahi jada hai koi sang-e-rah ko khabar karo usi aastan ka irada hai wahi ashk-e-khun ke gulab hain wahi khar khar hai pairahan na karam ki aas bujhi abhi na sitam ki dhup ziyaada hai abhi raushni ki lakir si sar-e-rahguzar hai jaan-ba-lab kisi dil ki aas miti nahin kahin ek daricha kushada hai tan-e-zakhm zakhm ko chhod de mere chaaragar mere mehrban dil-e-dagh dagh ka hausla teri marhamat se ziyaada hai jo nazar bacha ke guzar gae to na aa sakoge palat ke tum badi mohtaram hai ye bebasi ki khulus-e-jaan ka libaada hai yahi zindagi hai buri-bhali ye kashida sar ye barahna-pa na ghubar-e-rah se muzmahil na sukun-e-jaan ka iada hai mera iftikhar wafa talak mujhe ras aa na saka 'ada' tera nam jis par likha raha wo kitab aaj bhi sada hai