ujala de charagh-e-rahguzar aasan nahin hota hamesha ho sitara ham-safar aasan nahin hota jo aankhon ot hai chehra usi ko dekh kar jina ye socha tha ki aasan hai magar aasan nahin hota bade taban bade raushan sitare tut jate hain sahar ki rah takna ta-sahar aasan nahin hota andheri kasni raaten yahin se ho ke guzrengi jala rakhna koi dagh-e-jigar aasan nahin hota kisi dard-ashna lamhe ke naqsh-e-pa saja lena akele ghar ko kahna apna ghar aasan nahin hota jo tapke kasa-e-dil mein to aalam hi badal jae wo ek aansu magar ai chashm-e-tar aasan nahin hota guman to kya yaqin bhi waswason ki zad mein hota hai samajhna sang-e-dar ko sang-e-dar aasan nahin hota na bahlawa na samjhauta judai si judai hai 'ada' socho to khushbu ka safar aasan nahin hota