wahi safar jo pas-e-karwan nahin hota mera safar hai kabhi raegan nahin hota main chahta hun ki arman dastaras mein rahen mujhe pata hai ki baam aasman nahin hota hazar chikhon mein sunta hun us ki khamoshi koi bhi zakhm kabhi be-zaban nahin hota agar wo dariya tere shahr se guzarta nahin rawan to hota par itna rawan nahin hota main aise jalta hun jaise ki bujh raha ho koi tu aisi aag hai jis ka dhuan nahin hota