dekh lo tum khu-e-atish ai qamar shishe mein hai aks dagh-e-mahr ka itna asar shishe mein hai log kahte hain tere rukhsar-e-taban dekh kar shama hai fanus mein ya aab-e-zar shishe mein hai raat din rahti hai niyyat baada-e-gul-rang mein ye pari wo hai ki jo aathon pahar shishe mein hai saad-e-simin se tere us ko kya nisbat bhala tauba tauba kab latafat is qadar shishe mein hai hoti hai gharq-e-araq kyun tu siwae bu-e-gul aur kya ai bulbul-e-shorida-sar shishe mein hai mai-kada tera rahe aabaad khum ki khair ho han pila de mujh ko saqi jis qadar shishe mein hai khak se meri bhala kya waqt ka ho imtiyaz har ghadi ban kar bagula muntashar shishe mein hai ye guman hota hai aks-e-mahr-e-sahba dekh kar dagh-e-ulfat ko liye khun-e-jigar shishe mein hai hazrat-e-waiz na aisa waqt hath aaega phir sab hain be-khud tum bhi pi lo kuchh agar shishe mein hai khinch sake hargiz musawwir se na timsal-e-adam dekh lo taswir-e-jaanan ta-kamar shishe mein hai thodi thodi rah mein pi lenge gar kam hai to kya dur hai mai-khana ye zad-e-safar shishe mein hai mai pila kar mujh se kahte hain wo ho kar be-hijab chadh gai aaankhon pe jab ainak nazar shishe mein hai kyun na zor-e-taba sab ahbab dikhlaen 'habib' imtihan-e-husn nazm-e-yak-digar shishe mein hai