wahi thi kal bhi pasand aur wahi hai aaj pasand alag mizaj hai mera alag mizaj pasand main kya karun ki meri soch mukhtalif hai bahut main kya karun mujhe aaya nahin samaj pasand main apni rah nikalunga apni marzi se mujhe nahin hain zamane tere riwaj pasand ye mera dil meri aankhen ye mere khwab azab utha ai ishq tujhe jo bhi hai khiraj pasand mahaz-e-ishq pe khud hi shikast mani hai 'zubair' dil pe hua hai kisi ka raj pasand