wahi wada hai wahi aarzu wahi apni umr-e-tamam hai wahi chashm hai wahi rah hai wahi subh hai wahi sham hai wahi khasta-haal kharab hai wahi khwab kushta-e-khwab hai wahi zindagi ko jawab hai na salam hai na payam hai wahi josh nala-o-ah mein wahi shoala jaan-e-tabah mein wahi barq-e-yas nigah mein jo khayal hai so wo kham hai wahi khwab-o-khur ki talash hai wahi jaan-o-dil mein kharash hai wahi ranj-e-ghair-e-maash hai mujhe zindagi bhi haram hai wahi hijr dushman-e-wasl hai wahi marg-o-zist mein fasl hai wahi apne shaghl se shaghl hai wahi apne kaam se kaam hai wahi shaq jigar na siyo siyo wahi zist hai na jiyo jiyo wahi khun-e-dil na piyo piyo wahi baada hai wahi jam hai wahi shauq-e-rah hai rahnuma wahi jalwa-gah hai rukh-kusha wahi bazm-e-naz hai ja-ba-ja wahi har qadam pe maqam hai wahi nim-jaan dam-e-wapsin wahi nala-kash sukhan-e-hazin wahi yas-e-zist hai dil-nashin ki zaban pe aap ka nam hai wahi ranj hai to yun hi sahi wo 'qalaq' hi tha ki yun hi nibhi meri aap ko bhi hai bandagi mera ishq ko bhi salam hai