ye mujh se puchhte hain chaaragar kyun ki tu zinda to hai ab tak magar kyun jo rasta chhod ke main ja raha hun usi raste pe jati hai nazar kyun thakan se chur pas aaya tha us ke gira sote mein mujh par ye shajar kyun sunaenge kabhi fursat mein tum ko ki hum barson rahe hain dar-ba-dar kyun yahan bhi sab hain begana hi mujh se kahun main kya ki yaad aaya hai ghar kyun main khush rahta agar samjha na hota ye duniya hai to main hun dida-war kyun