wahi yaksaniyat-e-sham-o-sahar hai ki jo thi zindagi dast-ba-dil khak-basar hai ki jo thi dekh kar bhi tere jalwe nahin dekhe jate wahi pabandi-e-adab-e-nazar hai ki jo thi tujh se mil kar bhi gham-e-hijr ki talkhi na miti ek hasrat si ye andaz-e-digar hai ki jo thi shoala-e-dard bujhe der hui hai lekin wahi tabindagi-e-dida-e-tar hai ki jo thi tu meri jaan nahin ab magar ai jaan-e-'azim' zindagi ab bhi teri dast-nigar hai ki jo thi