dar-o-diwar ki zad se nikalna chahta hun main hawa-e-taza tere sath chalna chahta hun main wo kahte hain ki aazadi asiri ke barabar hai to yun samjho ki zanjiren badalna chahta hun main numu karne ko hai mera lahu qatil ke sine se wo chashma hun ki patthar se ubalna chahta hun main buland o past duniya faisla karne nahin deti ki girna chahta hun ya sambhalna chahta hun main mohabbat mein hawas ka sa maza milna kahan mumkin wo sirf ek raushni hai jis mein jalna chahta hun main