wahi zamana wahi mah-o-sal odhe hain bahut dinon se tumhaara khayal odhe hain shua-e-mahr ne mujh se kaha ba-waqt-e-sham uruj wale yahan sab zawal odhe hain adab se baithiye aa kar ke hum faqiron mein yahan ke tat-nashin sab kamal odhe hain sajae baithe hain wo tohmaten zabanon par aur ek hum hain ki ab tak misal odhe hain khuda bachae unhen january ki thandak se jo shit-lahri gharibon ke lal odhe hain unhen main qaum ka qaid to kah nahin sakta wo bhediye hain jo bhedon ki khaal odhe hain hamare nam na mazi na koi mustaqbil hum apni haalat-e-khasta pe haal odhe hain phati qamiz dikhai na de kahin 'qaisar' isi liye to ye rangin shaal odhe hain