apne hi shahr mein ajnabi ho gaya doston ne jo chaha wahi ho gaya ghair to ghair apnon se nisbat nahin kis qadar khud-gharaz aadmi ho gaya pyar ikhlas dil-bastagi dilbari aaj-kal paikar-e-kaghazi ho gaya qatl us ne kiya apna kah kar mujhe sare ilzam se bhi bari ho gaya log kyon us ko maghrur kahne lage paida jis mein shuur-e-khudi ho gaya kya koi inqalab aur aane ko hai chehra ghunchon ka kyon shabnami ho gaya jo bhi guzra hai 'khalid' teri yaad mein lamha wo hasil-e-zindagi ho gaya