wahi zid un ko hai wahi hai hat un ki chahi nahin hai ye jhanjhat panw ki mere jo suni aahat hue dakhil makan mein jhat-pat shokh kitna kiya hai pir-e-mughan mughbache ho gae bad munh-phat koi pahlu nazar nahin aata dekhiye baithe unt kis karwat yaad karte nahin kabhi wo hamein nam ki un ke han lagi hai rat zeb-e-mahfil hai mah-rukh mera har taraf hai sitaron ka jhurmut jalwa-gah mein ajab karishma hai yaad karte hi aa gae jhat-pat jalwa-farma wo gul hai gulshan mein har rawish par lage hue hain that in ko parde mein bhi hijab raha hai numayan naqab mein ghunghat nala-e-dil charagh-e-raushan hai koh-e-atish-fashan ki hai ye lipat baada-e-nab qismat-e-aghyar 'saqi'-e-zar ko mile talchhat