raaz-e-ulfat ayan na ho jae sai-e-gham raegan na ho jae na-umidi hai ab to wajh-e-sukun phir koi mehrban na ho jae nigah-e-lutf se na dekh hamein phir tamanna jawan na ho jae hum hain nazan wafa pe wo shaki yun koi bad-guman na ho jae hum to marte hain ai wafa walo khatm ye dastan na ho jae khaksaron ko to haqir na jaan ye zamin aasman na ho jae ai nasheman ko kosne walo barq khud aashiyan na ho jae tere ashaar ki zamin 'sahar' ghairat-e-asman na ho jae