wahin hain dil ke qarain tamam kahte hain wo ek khalish ki jise tera nam kahte hain tum aa rahe ho ki bajti hain meri zanjiren na jaane kya mere diwar-o-baam kahte hain yahi kanar-e-falak ka siyah-tarin gosha yahi hai matla-e-mah-e-tamam kahte hain piyo ki muft laga di hai khun-e-dil ki kashid giran hai ab ke mai-e-lala-fam kahte hain faqih-e-shahr se mai ka jawaz kya puchhen ki chandni ko bhi hazrat haram kahte hain nawa-e-murgh ko kahte hain ab ziyan-e-chaman khile na phul ise intizam kahte hain kaho to hum bhi chalen 'faiz' ab nahin sar-e-dar wo farq-e-martaba-e-khas-o-am kahte hain