wahin par hun jahan rukta raha hun main apne aap se ukta raha hun guzarti umr ke hamrah khud par sahifon ki tarah khulta raha hun suno meri bhi kuchh ab to khudara tumhaari bhi to main sunta raha hun jo kin hain pesh tum ne kya bataun har ek mantiq pe sar dhunta raha hun bachane khud ko apni hi tapish se main apne sae mein chhupta raha hun bahut dhunda hai main ne khud ko lekin isi koshish mein khud gumta raha hun chale aate hain rozana darane wo jin ke qarz mein chukta raha hun parae shahr mein yaron se kat kar gharibon ki tarah rulta raha hun ye qimat kam hai shayad main tumhaare taraazu mein ghalat tulta raha hun nahin aadat mujhe pine ki main to tumhaari yaad mein ghulta raha hun chale aao ki rasta saf hai ab main kante rah ke chunta raha hun