zaban na hoti qalam na hote zamin na hoti qadam na hote koi jo thoda lihaz karta kisi pe itne sitam na hote hamara chehra bhi khilkhilata jo dil mein ranj-o-alam na hote kisi bhi raste pe chal nikalte magar yun su-e-adam na hote zara jo khud par dhiyan dete hamare ushshaq bhi kam na hote kaha kisi ka jo man lete haya se gardan mein kham na hote kahin bhi hote bina hum un ke yahan khuda ki qasam na hote hazar baaton ka hai khulasa jo wo na hote to hum na hote