wahm hi hoga magar roz kahan hota hai dhundh chhai hai to ek chehra ayan hota hai sham khush-rang parindon ke chahak jaane se ghar hua jata hai din mein jo makan hota hai wo koi jazba ho alfaz ka mohtaj nahin kuchh na kahna bhi khud apni hi zaban hota hai be-sabab kuchh bhi nahin hota hai ya yun kahiye aag lagti hai kahin par to dhuan hota hai baz-gasht aur sadaon ki ubhar aati hai jitna khali koi 'akhilesh' kuan hota hai