uda ke phir wahi gard-o-ghubar pahle sa bula raha hai safar bar-bar pahle sa wo ek dhund thi aakhir ko chhat hi jaana thi dikhai dene laga aar-par pahle sa nadi ne rah samundar ki phir wahi pakdi sadaen deta raha regzar pahle sa kahin dhalan muqaddar na ho bulandi ka chadhai phir na ho apna utar pahle sa sawal kyun na charagh-e-sahar se kar dekhen junun ab bhi hai kya barqarar pahle sa to kya palat ke wahi din phir aane wale hain kai dinon se hai dil be-qarar pahle sa