wahm-o-guman jo had se guzarte chale gae hum reza reza ho ke bikharte chale gae jalwa tumhaara ek nazar dekhne ke baad dil mein nuqush-e-ishq nikharte chale gae eajaz kam nahin tha kuchh un ke jamal ka hum did ki talab mein sanwarte chale gae din manzilon ne un ko sadaen bahut magar diwane apni dhun mein guzarte chale gae shayad meri wafaon mein hi thi koi kami wade se apne wo to mukarte chale gae aise parind jin ki udanen buland thin un ke paron ko log katarte chale gae 'arif' rah-e-hayat mein neki ke nam par jo kaam hum ko karne the karte chale gae