apne dil ka haal na kahna kaisa lagta hai tum ko apna chup chup rahna kaisa lagta hai dukh ki bunden kya tum ko bhi khati rahti hain aahista aahista dhahna kaisa lagta hai dard bhari raaten jis dam halkore deti hain dariyaon ke rukh par bahna kaisa lagta hai main to apni dhun mein chakraya sa phirta hun tum ko apni mauj mein rahna kaisa lagta hai kya tum bhi sahil ki surat katte rahte ho pal pal gham ki lahren sahna kaisa lagta hai kya shamen tum ko bhi shab bhar be-kal rakhti hain tum suraj ho tum ko lahna kaisa lagta hai kya tum bhi galiyon mein ghar ki wusat pate ho tum ko ghar se bahar rahna kaisa lagta hai kam-ahang suron mein tum kya gate rahte ho kuchh bhi na sunna kuchh bhi na kahna kaisa lagta hai dard to sanson mein baste hain kaun dikhae tumhein phulon par khushbu ka gahna kaisa lagta hai