wahshat-e-baam-o-dar se bhagte hain jab kabhi apne ghar se bhagte hain hath malta hai dida-e-hairan log itna hunar se bhagte hain jis mein kuchh bhi bura nahin lagta aise husn-e-nazar se bhagte hain mere is shahr-e-be-yaqin ke log shor se aur shar se bhagte hain aisa badla mizaj-e-ab-o-hawa ped apne samar se bhagte hain qahqahon mein jo the sharik wahi ab meri chashm-e-tar se bhagte hain 'badr' hum hain ghazal-e-dasht-e-junun wo jidhar ho udhar se bhagte hain