wahshat-e-dil sila-e-abla-pai le le mujh se ya-rab mere lafzon ki kamai le le aql har bar dikhati thi jale hath apne dil ne har bar kaha aag parai le le main to us subh-e-darakhshan ko tawangar jaanun jo mere shahr se kashkol-e-gadai le le tu ghani hai magar itni hain sharait teri wo mohabbat jo hamein ras na aai le le aisa nadan kharidar bhi koi hoga jo tere gham ke ewaz sari khudai le le apne diwan ko galiyon mein liye phirta hun hai koi jo hunar-e-zakhm-numai le le meri khatir na sahi apni ana ki khatir apne bandon se to pindar-e-khudai le le aur kya nazr karun ai gham-e-dildar-e-faraaz zindagi jo gham-e-duniya se bachai le le