wahshat-e-gham mein achanak tere aane ka khayal jaise nadar ko gum-gashta khazane ka khayal is mohabbat mein hadaf koi bhi ban sakta hai is mein rakkha nahin jata hai nishane ka khayal wo kabutar to usi din se mere jal mein hai jab use pahle-pahal aaya tha dane ka khayal main kinaron ko kabhi dhyan mein lata hi nahin lutf deta hai mujhe dubte jaane ka khayal marne deta nahin main baadiya-gardi ka riwaj main nae ishq mein lata hun purane ka khayal ai khuda mere muqaddar mein wo sajda likh de jis mein aae na mujhe sar ko uthane ka khayal