main corruption ki fazilat ko kahan samjha tha bahr-e-zulmat ko chhota sa kuan samjha tha phir bajat us ne giraya hai hathaude ki tarah wo hukumat ko bhi lohe ki dukan samjha tha taj-mahalon ki jagah tum ne banain qabren leadaro hum ne tumhein shah-jahan samjha tha khidkiyan tod gaya wo sabhi jate jate mere dil ko jo kirae ka makan samjha tha paenche jeans ke takhnon se bahut upar the main surayya ko surayya ka miyan samjha tha man ne beti se kaha teri khata hai is mein tu ne sasural mein kyun sas ko man samjha tha yun budhape mein na tum chhod ke wapas jao biwiyo tum ne kabhi mujh ko miyan samjha tha