wahshat-e-gham se raat bhar yaro roya main phir hui sahar yaro jaana chahen bhi to kidhar jaen kho gae sare rahguzar yaro zehn-o-dil se nikal kar us ko kar diya khud ko mo'atabar yaro umr bhar gard-e-rah ki surat main jo karta raha safar yaro aai khak-e-watan ki yaad magar laut kar phir gae na ghar yaro hai tamanna nai faza ki magar kat gae apne baal-o-par yaro chahe jitna khayal rakkho mera umr meri hai mukhtasar yaro