dukhti hai ruh panw ko lachaar dekh kar ruk jaenge kahin koi diwar dekh kar subki na ho kahin taraf-e-yar dekh kar aankhen uthaiye bhi to dastar dekh kar niklo jo ban-sanwar ke to bazar dekh kar mangen hain mol shakl-e-kharidar dekh kar kahna to bas yahi hai ki chahen hain hum tujhe ghabraiyo na baat ka bistar dekh kar sustae hai irada tasahul ke ru-ba-ru dukhte hain panw saya-e-diwar dekh kar apnon se munh chhupae phire hai ek aadmi jeben tatol ke kabhi bazar dekh kar marun hun hath-paon bahut 'ashk' khud ko main apne hi bazuon mein giraftar dekh kar