wahshat ke sau rang dikhane wala main khud apni zanjir banane wala main roz kuan khodun to pyas bujhaun roz dariyaon se pyas bujhane wala main mazi ke be-barg shajar par baitha hun mustaqbil ke git sunane wala main kaise mumkin hai apnon par war karun dushman ki choten sahlane wala main andar andar dard ki lahren upar se har dam hansne aur hansane wala main baghon ko viran banane wale log sahraon mein phul khane wala main sadiyon se masmum hawa ki zad par hun ummidon ki fazl ugane wala main dekho kab tak panw jamae rahta hun unchi lahron se takrane wala main