is soch mein hi marhala-e-shab guzar gaya dar wa kiya to kis liye saya bikhar gaya ta-der apne sath raha main zamane baad be-nam sa sukut tha jab raat ghar gaya rakhta tha hukm maut ka jo rah-e-wasl mein wo lamha-e-firaq mere dar se mar gaya sab raunaqen ba-zid thin jahan ghar banane ko wo qarya-e-wajud khalaon se bhar gaya main bandh hi raha tha ghazal mein use abhi wo zina-e-khayal se niche utar gaya