wahshat ke siwa kuchh na mila dar-badari se baz aae mohabbat ki hum aashufta-sari se auron ki tarah mujh ko na diwana pukaro tum to ho khabar-dar meri be-khabari se ghaalib hai zamane mein ujale pe siyahi har samt andhera hai teri jalwagari se mumkin ho to kar lijiye wahshat ka mudawa daman kahin bach paega is bakhiya-gari se hum hi nahin tha sara zamana tera lekin kuchh bhi na mila tujh ko teri kam-nazari se un aankhon ko tu ne bhi kaha nargis-e-bimar baz aae 'umar' hum to teri dida-wari se